Ehsaas Hai feat. Akhila
Written by Sumith Shantraj
Composed by Sumith Shantraj and Bijoy Thangaraj
Song Lyrics:
Rishta Lage Tera Mera Mujhe Kitna Khaas Hai
Sochoon Kabhi Tu Hai Mujhse Dhoor Mere Utne Paas Hai
Chode Na Tu Saath Jo Bhi Ho Halaath
Mujhko Ye Vishwaas Hai
Chooliya Hai Thune Mujhe
Hua Ehsaas Hai
Ulja Kabhi Uljano Mien Aake Tu Hi Suljaaye
Main Ghumshuda Hogaya Jo Rasta Mujhe Diklaaye
Dhikthe Nahi Pairon Ke Nishaan Par Saath Chalta Mere
Chode Na Tu Saath Jo Bhi Ho Halaath
Mujhko Ye Vishwaas Hai
Chooliya Hai Thune Mujhe
Hua Ehsaas Hai
Ummeed Toote The Saare Charon Taraf Tha Andhera
Tum Roshni Leke Aaye Laaya Naya Phir Savera
Saaya Kabhi Chode Hai Saath Na Choota Kabhi Tera Haath
Chode Na Tu Saath Jo Bhi Ho Halaath, Mujhko Ye Vishwaas Hai
Chooliya Hai Thune Mujhe
Hua Ehsaas Hai
Chalo Tum Saath Saath
Written by Satish Shanthraj
Composed by Satish Shanthraj and Bijoy Thangaraj
Additional Backing Vocals by Sunil Shantraj, Akhila
Song Lyrics:
Chalo Tum Saath Saath
Le Hathoon Mein Haath Haath
Na Chodo Haath Ye
Kabhie Na Kabhie
Saathi Ho Tere Jaisa To Kya Hai Darr
Saathi Ho Tere Jaisa To Kyoun Fikar
Chalte Jaana Tum Pyaar Paana
Chalte Jaana Tum Pyaar Paana
Chalo Tum Saath Saath Le Hathoon Mein Haath Haath
Na Chodo Haath Ye Kabhie Na Kabhie
Aandhi Aaye Agar
Toofaan Aaye Agar
Judaa Na Hona Kabhie
Mushkile Aaye Agar
Faasle Aaye Nazar
Chodo Na Haath Mera Kabhie
Oh Chalte Jaana Tum Pyaar Paana
Chalte Jaana Tum Pyaar Paana
Himmat Na Harna feat. Steve Alfred
Written by Satish Shanthraj
Composed by Satish Shanthraj, Bijoy Thangaraj and Steve Alfred
Lead Guitars by Steve Alfred
Song Lyrics:
Jeevan Mein Yunhi Dard Aayenge
Khudha Ke Naam Se Dard Bhaag Jayenege
Har Ghadi Imtihaan Hain
Gir Ke Sambhalte Sub Yahaan
Har Ek Haal Mein
Shaitan Ke Chaal Mein
Himmat Na Haar Na Tu Kabhie
Jeevan Mein Yunhi Dard Aayenge
Khuda Ke Naam Se Dard Bhaag Jayenge
Yun Din Guzaar Na Nahi
Man Kabhie Harna Nahi
Kisi Bhi Mod Pe Udaasi Chod Ke
Himmat Na Haar Na Tu Kabhie
Har Ek Haal Mein
Shaitan Ke Chaal Mein
Kisi Bhi Mod Pe Udaasi Chod Ke
Himmat Na Haar Na Tu Kabhie
Hum Sir Jhukaye
Written by Sumith Shantraj
Composed by Sumith Shantraj and Bijoy Thangaraj
Bass by Thanga Nohro, Djembe by Sachit Clare, Violins by Dr. Amith Ramos
Song Lyrics:
Hum Sir Jhukaye Hai Sajde Mein Teri
Hum Pe Rehmat Sada Tera Rehna
Paar Karadhe Tuhi Hame
Mushkil Ghadi Jab Ho Sehna
Tu Hi Dua Tu Hi Dava
Har Marz Ka Hai Ilaaj
Phir Tumse Milne Kyoun Hai Bane
Jhoote Ye Rasmo-Rivaaj
Is Duniya Ke Rakhwale Tum
Sounpe Khudko Tere Hawale Hum.
Har Baat Dil Khi Zaahir Kare Hum
Tujhse Padtha Nahi Hitckichaana
Maaf Kar Jo Kare Galthiyaan
Phir Na Dohraaye Hum Ko Sikhaana
Teri Zameen Tera Aasmaan
Tumse Ye Saara Jahaan
Tere Hi Dum Se Hai Jeetey Yahaan
Rehna Sadaa Meherbaan
Is Duniya Ke Rakhwale Tum
Soumpe Khudko Tere Hawale Hum
Darna Nahin
Written by Satish Shanthraj
Composed by Satish Shanthraj and Bijoy Thangaraj
Song Lyrics:
Darna Nahi Hai Pal Do Pal
Jeene Se Darna Nahi
Jee Bharke Jee Tu Saare Pal
Har Pal Tu Marna Nahi
Hain Jara Si Zindagi
Kar Jee Karna Hain Abhie
Yeh Mauka Na Phir Aayega
Rab Ki Ashishon Ko Baat Le
Apni Khushie Baat Le
Pal Ye Phir Mile Na Mile
Lamba Safar Jaana Jaroor
Jaane Se Darna Nahi
Darna Nahi Marne Se Tu
Marne Se Darna Nahi
Deke Auron Ko Kushie
Dekha Tune Kya Kabhie
Woh Kitni Kushie Layegaa
Rab Jo Tere Paas Hain
Badaa Madath Ka Haath Ye
Kal Ye Pal Mile Na Mile
Safar feat. Aravind Nair and Akhila
Written by Satish Shanthraj
Composed by Satish Shanthraj, Bijoy Thangaraj and Aravind Nair
Indian Classical Vocals by Aravind Nair, Rap by Akhila
Song Lyrics:
Yeh Jo Safar Hain Lamba Safar Hain
Chalte Ja Na Hain Ruk Ke Chalna Hain
Kya Tera Kya Mera Ye Sab Uska Duwaa
Kya Tera Kya Mera Ye Rab Ka Hain Duwaa
Jo Raah Chunaa Hain Mushkil Badaa Hain
Chalte Jaana Hain Manzil Paa Na Hain
Jo Tera Jo Mera Ye Sab Uska Duwaa
Jo Tera Jo Mera Ye Rab Ka Hain Duwaa
Chalte Chalte Apne Manzil Ko Paana Hain
Khuda Ki Dil Ko Tu Choo Jaana Hain
Safar Se Na Hoke Majboor Kahi Door
Khuda Ke Saath Chalte Na Thakega Tu Jaroor
Kabhie Kabhie Safar Mein Khamoshi Das Thi Hain
Saache Logon Par Hi Sachaaye Jaachthi Hain
Kya Tera Kya Mera Ye Sab Uska Duwaa
Kya Tera Kya Mera Ye Rab Ka Hain Duwaa.
Jo Tera Jo Mera Yeh Sab Uska Duwaa
Jo Tera Jo Mera Yeh Rab Ka Hain Duwaa
Nai Manzil (Instrumental) feat. Matt Kellen
Composed by Sachit Clare, Bijoy Thangaraj, Steve Alfred and Matt Kellen
Melodica and Keys by Sachit Clare, Guitars by Steve Alfred
Bass and Keys by Bijoy Thangaraj
Drums by Matt Kellen
Khoya Khoya feat. Godly Darius
Written by Satish Shanthraj and Godly Darius
Composed by Satish Shanthraj, Bijoy Thangaraj and Godly Darius
Rap by Godly Darius, Additional Guitars by Steve Alfred
Song Lyrics:
Khoya Khoya Rehta Hoon Tanhaiye Mein Jee Rahaa Hoon
Dooba Dooba Rehta Hoon Sannaton Mein Dooba Hoon
Tujhe Tarsu Main Prabhu Jeevan Mein Aa Mere
Kshama Karke Hame Jeevan Sawaar Do
Khoya Khoya Khoya Khoya Khoya Khoya Rehta Hoon
Dooba Dooba Dooba Dooba Dooba Dooba Rehta Hoon
Pal Pal Niraasha Dil Ko Satati
Harpal Udhaasi Man Ko Tadpati
Safar Hain Baki Abhie
Hoon Mein Door Tujhse Prabhu Karle Tu Mujhko Kabool
Tere Paas Mein Aatha Hun Jaoonga Na Ab Tujhse Door.. Haan
Tu Hi To Hain Mere Khudha Mere Baap Tune Lia Mere Paapon Ka Bhar
Tere Siva Aur Hai Hi Kahaan Gunah Ke Badle Tune Di Le Apni Jaan
Haan Mein Khoya That Duniya Mein Dooba Tha Socha Akela Tha Tanhaayee Se Bhara Tha
Tab Tune Haath Thama Chala Tu Mere Saath Ehsaas Hua Ki Mere Saath Hai Tu Mere Khudha
Aisi Mohabbat Aisa Kiya Tune Pyaar Pyaar Ke Khathil Tune Di Hai Apni Jaan
Ab Mein Rahoon Tere Saath Sarvada Tere Nikat Hai Pyaar Ka Ehsaas
Khoya Khoya Khoya Khoya Ab Main Nahi Rehta Hoon
Dooba Dooba Dooba Dooba Ab Main Nahi Kehta Hoon
Musafir
Written by Satish Shanthraj
Composed by Satish Shanthraj and Bijoy Thangaraj
Song Lyrics:
Is Jahan Mein
Hum Sab Musafir Hain
Kal Kya Hoga
Koi Nahi Jaantha
Prabhu Ke Raah Par Jo Chalegaa
Woh Andheeron Mein Na Girega
Aandhi Aur Toofan
Aaye Agar Is Jahan Mein
Mehfooz Rahenge
Hardum Har Kadam Par
Kush Naseeb Hain Hum Is Jahan Mein
Humne Apnayaa Us Prabhu Ko
Maut Ke Bandhan Se Choodayega
Papoon Se Mukti Dilayega
Is Jahan Mein Hum Sab Musafir Hain
Kal Kya Hoga Koi Nahi Jaantha
Aatha Hun Tere
Written by Satish Shanthraj
Composed by Satish Shanthraj and Bijoy Thangaraj
Violins by Dr. Amith Ramos
Song Lyrics:
Aatha Hun Tere Mandir Mein Kehta Tujhe Dhanyawaad
Aatha Hun Tere Man - Mandir Mein Kehta Tujhe Dhanyawaad
Saraa Aadhar Dete Hue
Karta Hoon Main Tujhse Duwaa
Oh Mere Khuda Paas Hona Sadaa
Oh Mere Khuda Paas Hona Sadaa
Poore Dil Se Main Sajda Karoon
Poore Mann Se Teri Mahima Gaaoun
Mann Se Teri Main Sajda Karoon
Mann Se Teri Main Mahima Gaaoun
Oh Mere Khuda Sang Rehna Sadaa
Aatha Hun Main Charno Mein Teri Kehta Hua Dhanyawaad
Aatha Hun Main Charno Mein Teri Karta Tujhe Dhanyawaad
Saraa Ashish Tu Mujhko Diya
Jaan Dekar Jeevan Diya
Oh Mere Khuda Paas Rehna Sadaa
Oh Mere Khuda Na Hona Judaa
Oh Mere Khuda Sang Rehna Sadaa
Teri Aradhana
Written by Satish Shanthraj and Bijoy Thangaraj
Composed by Satish Shanthraj and Bijoy Thangaraj
Song Lyrics:
Teri Aradhana Ho Prabhu, Teri Aradhana…
Teri Aradhana Ho Sada, Sarvada…
Sone Se Bhi Mehenga, Heeron Se Bhi Sundar
Taron Se Bhi Zyada, Hai Tera Pavitra Pyaar
Aasman Ke Niche, Logon Ke Beech Mein
Teri Aaradhana Main Karoon
Teri Aradhana Ho Prabhu, Teri Aradhana…
Teri Aradhana Ho Sada, Sarvada…
Ambar Se Bhi Uncha, Tere Pyaar Main Hai Kripa
Sagar Se Bhi Gehra, Tere Pyaar Main Hai Shifa
Aasman Ke Niche, Logon Ke Beech Mein
Teri Aaradhana Ho Sada
Teri Aradhana Ho Sada...
Ye Hamare Pitha (Lord’s Prayer)
Taken from The Bible, Matthew 6:9–13
Composed by Satish Shanthraj and Bijoy Thangaraj
Djembe by Sachit Clare, Violins by Dr. Amith Ramos
Additional backing vocals by Robin K Simon
Song Lyrics:
Aae Hamare Pita
Tu Jo Swarg Mein Hain
Tera Naam Pavitra Manaa Jaaye
Teri Rajya Aaye
Teri Ichaa Zameen Pe Ho
Jaise Swarg Mein Hain
Hamari Din Bhar Ki
Roti Hame De
Gunaah Kar Maaf Sari
Tu Hamare Pita
Apne Hi Gunaahgaroon Ko
Ab Maaf Kiya Hain
Pariksha Mein Na La Tu
Burayee Se Bacha
Kyoun Ki Rajya
Aur Parakram
Aur Mahima Teri Ho
Ameen
Copyright © 2010-2019 Ehsaas Official Website | JSplash Studios
FOLLOW US